आज की रात कहीं मत जा तू ,
आज की रात बड़ी बोझिल है
आज की रात तू कह ले दिल की,
आज की रात ज़रा मधिम है !!
आज की रात मेरे सिरहाने रह तू ,
आज की रात कहीं गम सुम है !!
आज की रात मुझे बाहों में ले तू ,
आज की रात बहुत चुप चुप है !!
आज की रात नींद नहीं अखियान्न में ,
आज की रात नींद से अन - बन !!
आज की रात कहीं मत जा तू,
आज की रात मुझे है जाना !!!
Dedicated to My Loving Mom,
अभी हाल ही में उनकी तबियत ख़राब हुयी और उस रात ही इस नज़्म ने मेरे ज़ेहन में तस्तक दी !!
मैं उनके पास खड़ा उनकी साँसों को महसूस कर रहा था, पर अश्क आँखों से निकलते ही नहीं थे जैसे उन्हें भी डर था . .
अब वो ठीक हैं और मेरे साथ हैं ...
और मैं उनके साथ ...
रिश्ते और जज्बातों से लिपटी इस ज़िन्दगी के कई चेहरे है... और ये जज़्बात हर बार एक नई शक्ल में हमारे सामनेआते है ॥ अभी तक तो खैर एक छोटी सी ज़िन्दगी से मुलाकात हुयी और उनमे से कुछ एहसास जो मेरे ज़ेहन में रहगए और लगा की तुमसे बाटनी चाहिए उन्हें तुम्हारे सामने रख रहा हूँ " सहर" के ज़रिये।
Tuesday, December 22, 2009
Friday, December 18, 2009
Humrahee ...
Ye Safar Yun Tanha Na Guzrega Mere Humrahee..
Raat Khamosh Bahut Hain Kuch Baat Karo Mere Humrahee...
Ye Lamha Hi To Pal Ban Jaye, Sadiya Samaye Rahee
Umr Hain Choti Batein Badi hein Dil Tanha Humrahee...

Thursday, December 17, 2009
Aawaaz !!
Chedo na mujhe mere dil me kuch jaszbaat baki
Wo ruth ke chala gaya door mujhse ...
Sirf uski aawaaz baki he ..
Wo ruth ke chala gaya door mujhse ...
Sirf uski aawaaz baki he ..
A Question !!!
Naa chahte hue bhi aap humse judda se rehte ho,
Kya baat hai Jo khud se hi kaffa se rehte ho ??
Kuch to hongi hasratte dil me dabbi dabbi,
Kyun har waqt har pehar pareshaa se rehte ho ??

Friday, December 4, 2009
Meri Kuch Triveniya …
Meri Kuch Triveniya …
Teri Aawaaz Ki Roshni Se Mere Ghar Ka Diya Roshan Hota Hai,
Mujhse Kabhi Naraz Na Hona “Insha”.
Mujhe Andhere Se Darr Lagta Hai !!!
Mere Makaan Ki Deewaaron Par Darraron Se Teri Tarveer Si Ban Gayi Hai,
Par Suna Hai Abki Barsaat Mein Kachhe Makaan Nahi Bachhenge !!
Ek Mudhi Mein Teri Khooshboo Samait Kar Tujhe Kareeb Rakha Hai,
Roz Ik Ik Katra Teri Yaad Se Mehak Kar Chalta Hoon.
Ik Baar Aao Naa Tum, Tumhe Jee Bhar Ke Dekh Loon,
In Aankho Mein Tumhe Band Kar Loon Hamesha Ke Liye,
Naa Jaane Ab Kab Mulaakaat Ho !!!
Kal Shaam Tumhara Ik Puraana Khat Mila,
Kholte Hi Ghar Mein Andhera Ho Gaya,
Jaise Bijli Giri Ho Kahin ….
Aakar Dekho, Ab Tak Jal Raha Hoon Main. !!
Aaj Ik Pehchaan Wale Ne Mujhse Tumhare Baare Mein Poocha Tha Baazaar Mein,
Muskura Ke Sab Bataya, Par Ghar Aakar Bahut Roya Hoon Main,
Aankhein Sooj Gayi Hain…
Gaye Saal Mera Har Din Eid Tha,
Aur Teri Surat Mera Chand,
Is Baar Mera Chaand Rootha Hain Mujhse !!
Jaane Kiase Eid Kategi ??

Mera Aangan !!!
Kabhi Kuch Khwaab Ko Lifafe Mein Band Karke Kahin Chhod Diya Maine,
Kabhi Kisi Kiwaad Par Dastak Se , us Dehleez Ki Khooshboo Mangani Chahi,
Jo Mere Gaon Ke Chotte Se Ghar Ke Bade Se Aangan ki Yaad Dillaati Hai Mujhko !!
Jisme Mere Bachpan Ke Sabhi Khel Aaj Bhi Khelein Jaate Hain !!!

Chaand !!
Kabhi Dekha Hai Chaand Ko Aag Barsaate Huye ??
Maine Kayi Baar Tumhe Gusse Mein Dekha Hai !!
Abki Amavas Kaafi Lambi Rahi

Self Portrait
Ik Saans Atki Huyi Hai Ragon Mein,
Ik Katra Khoon Ka Naak Se Tapakta Hai,
Damaag Socho Se Bhar Kar Dard Se Jhalakne Lagta Hai,
Khayaal Zehan Ki Ungliyon Par Raksh Karne Lagti Hai,
Sara – Sara Din Sukhe Jungle Ki Tarha Muh Baye Khada Rehta Hai,
Na Waqt Guzarta Hai Na Aankh Jhapakti Hai,
Ik Khatka Har Waqt Nashtar Ki Tarha Seene Mein Chubhta Rehta Hai,
Ik Khayaal Dard Ki Maanind Seene Mein Jalta Rehta Hai,
Jee Chahta Hai Chupa Loon Main Khud Ko Khud Se,
Kisi Gumnaam Jagah Ki Almaari Mein Band Kar Loon,
Aaj Khud Se Darr Gaya Hoon Main,
Aaj Khud Ko Aaine Mein Maine Dekh Liya !!!

Ammi
Umeedon Ki Zidd Badne Lagi Hai Ab,
Khwahishe Bhi Zinda Hain
Har aarzoo sulagne lagi hain seene mein,
Khwaab palko par baithte hi nahi
Daurte phirte hain Bhikhariyon ki taraha !!
Dard Ki Talkhi Ris Ris ke Khalish Ban gayi he,
Aise Mein Tumhari Ik Aawaz Hi Kaafi Hain ..
Mujhe Sulaane Ke Liye ....

Bahut Dino Se Soya Nahi Hun Ammi
Mujhe Aawaaz Toh Do.
Siyah Raat
Ye Siyah Ukhadi Huyi Bezubaa Raat..
Kisi Se Kuch Nahi Bolti…
Sirf Hosh Tattollti Rehti Hai…
Jo Nashe Mein Choor Farsh Par Bikhari Padi hai..
Aur Us Par Ye Sirphiri Kaiyat ..
Katra - Katra Hosh Sametne Lagti Hai..!!!

Saturday, November 28, 2009
One Of My Favorite Ghazal By Khatir Gaznavi
Kaisi chali hai ab ke havaa tere shehar mein
Bande bhi ho gaye hain Khuda tere shehar mein.
Kya jaane kyaa huaa ke pareshaan ho gaye,
Ik lahzaa ruk gayi thi sabaa tere shehar mein.
Kuch dushmani kaa Dhab hai na ab dosti ke taur,
Dono kaa ek rang huaa tere shehar mein.
Shayad unhein pata thaa ke ‘Khatir’ hai ajanabi,
Logon ne us ko loot liya tere shehar mein !!!

Thursday, November 26, 2009
Siyah Raat
Jab Nasha Tutataa Hai, Kitne Tukade Gire He ????
Hosh Chunane Lage Hum, Hum Bhi Kya Sar Phire Hain !!!

Thursday, November 19, 2009
Apane haathon ki lakiron mein basaale mujhako main hun teraa; naseeb apanaa banaa le mujhako!!
Mujhse tu puchane ayaa hai vafaa ke maani ye teri sadaadili maar na Daale mujhako !!
Kal ki baat aur hai main ab saa rahun yaa na rahuun, jitna jee chaahe tera aaj sataale mujhako !!
Khud ko main baatt na Daaluun kahin daaman-daaman, kar diyaa tune agar mere havaale mujhako !!
Tark-e-ulfat ki Kasam bhi koi hotii hai Kasam, tu kabhi yaad to kar bhulane waale mujhko !!
Vaadaa phir Vaadaa hai main zehar bhi pee jaauun "Qateel" , shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko !!!

Subscribe to:
Posts (Atom)