रिश्ते और जज्बातों से लिपटी इस ज़िन्दगी के कई चेहरे है... और ये जज़्बात हर बार एक नई शक्ल में हमारे सामनेआते है ॥ अभी तक तो खैर एक छोटी सी ज़िन्दगी से मुलाकात हुयी और उनमे से कुछ एहसास जो मेरे ज़ेहन में रहगए और लगा की तुमसे बाटनी चाहिए उन्हें तुम्हारे सामने रख रहा हूँ " सहर" के ज़रिये।
Saturday, January 23, 2010
सिगरेट !!!
मेरी जान सुलग रही है …..
मेरी सोच के चंद टुकड़े मेरे घर की खिड़की पर पड़े हैं .
मेरी बुझी हुयी रातों की राख मैं इसमें उड़ेल रही हूँ .
किसी रोज़ ये अँधा कुआ भी भर जायेगा ...
और फिर कोई भी नहीं बचेगा इसमें कूद कर अपनी जान देने को ...
धुआं लिपटता है मुझसे मेरे हमदर्द की तरह …
मेरी आँखों से kheechta है मेरे किरदारों ke sketch .. .
उंगलियाँ जलने लगी है ….
मेरी जान सुलग रही थी …
Ash tray से अब सिर्फ गरम धुंआ निकलता है …..
Ash tray अब पूरी भर चुकी है …
January 23, 2010 at 7 PM.
Moon Merchant!!!
Asslaam vaalekum Qazi Sahab....
Aaj is taraf ka raasta kaise bhool gaye mian??
Achha aaye ho toh Chai to pioge hi …
Arrey Khursheed Mian do chai bhejna … special!!
Haan ji Qazi sahib baat ye thi ki…. ek farm house bik raha hain chaand par. . . .
Daam bhi theek thaak hain
Meri rai to ye hain ki Khareed kar rakh lo, kal ko dugne Damo main baich dena.
Suna hai pados wale Khanduri Sahab ki koi jaan pehchaan ki party hai..
Tum kaho to baat Karun??
Apna kya wahi Hazaar par das… aap to jante hi hain!!
Mehngayi Badi Sahab … lekin apna to wahi fixed hisaab kitaab hai…
Hum recession ko nahi samjhege to kaun Samjhega ?? Behanooooooooon !!! ha ha
Haan Ji Batayiye Baat karoon kya??
Ab bhai sahab is duniya ka kya bharosa kab kya ho jaye kuch to back up lekar chalna chahiye …
Meri maniye to le leejiye... kaam hi aayega …
Aur jald hi Metro bhi pahuch jayegi waha tak toh keemat to waise hi badh jayegi...
Likhwa lijiye humse….
Ajji Qazi sahib aap to apne hain, aapko galat rai nahi dunga.
To Agle Sunday chaltey hai, side dekh bhi lenge aur lene dene ki baat bhi pakki kar lenge …
Kyu kya kehte hain…. Aapka Chota bhai hoon galat baat kahun to bolna…!!!
Aur Ghar ke Kya Haal hain?? Bhabhi kaisi hain?? aur Bade Qazi Sahab ??
Arrey Chotu Qazi ke kya haal hain??? itne saal ka ho gaya apna chotu ??
Ajji chodiye aap to humein bulaane se rahe ye farm house le le toh bhabhi ke haath ki biryani to aapke dastarkhaan par baithe kar hi naush farmayenge….
Chaliye chalta hoon ek zaroori kaam aan pada hai, Kuch khaash nahi pichle haftey ek party ko ek flat bechaa tha chaand par , ab kehta hai ki Deewaron main seelan hai ji, wahi dekhne ja raha hun .. aakhir chaand ki deewaron par seelan kaisi lagti hai zara hum bhi to dekhe ??
To phir Sunday ko main aapko aapke ghar se hi pick kar lunga, ready rahiyega…
Achha Chai aa rahi hai aap pee kar hi jayiga …
Khuda Haffiz …
Chauhan Builders
Deals in selling, purchasing & renting Plots, Flat & Farm House on Moon.
Kindly Note: - Plots & Flats on moon are available on easy installment also.
Sunday, January 17, 2010
मुलाकात ... Hello To Myself !!!
"Mulakaat"
Hello To Myself !!!
आज बहुत दिनों बाद या यूँ कहो मुद्दतो बाद मैंने सांस ली ...
सांस जिसमे सुकून था …
सांस जिसमे मेरी बैचैनी कोसो दूर थी मुझे …
आज मैं अपने आप से मिला …
डरा हुआ … सहमा हुआ … खुद से ही बचता हुआ !!!
आज तक कभी खुद का सामना ही नहीं किया था ...
जैसे जैसे लोग मिलते गए , वैसा वैसा बनता गया ...
एक तरफ से बन रहा था तो एक तरफ से बिखर रहा था मैं ,
हर रात खुद से लड़ते हुए , खुद को ढूंढते हुए ,
चीखते चिल्लाते गुजरने लगी …
ह्म्म्म !! अब इसकी आदत सी पढ़ गयी थी …
लोगो का शोर इतना था की मैं खुद की चीखे भी नहीं पहचान पाया ,
उस रात मेरे बिस्तर पर मेरी लाश मिली थी …
मेरी ख्वाहिशें मेरी लाश के सिरहाने मातम मना रही थी ,
मेरे दर्द को सिरहाने ने सोख लिया था ,सिर्फ कुछ निशाँ ही बाकी रह गए थे ,
आज खुद से नाराज़ था मैं , आज खुद को दफना दिया था मैंने !!!
अब वही पुराना शहर , पुराने लोग और वही पुराणी गल्लियाँ ,
लेकिन मैं पुराना नहीं था , ना ही मेरी कैफियत ही पुराणी थी ,
लोग चेहरे पे चेहरे लगा कर मिलते ... मैं लोगो से चेहरे बना कर मिलता .
सफ़र चलता रहा , वक़्त गुज़रता रहा …
दोनों जानिब जीस्त आसान हो चली थी ॥
पर इक दिन यूँ ही रास्ते पर चलते हुए तुमसे मुलाकात हुयी ,
तुम दो कदम आगे चल रही थी … मैं दो कदम आगे आ गया …
अब हम साथ चल रहे थे ...
उस दिन वही पुराणी सी कैफियत थी और वोही पुराना सा दिल !!
वक़्त यूँ ही गुज़रता रहा … बैचैन दौड़ता हुआ … भागता हुआ …
एक हवा के झोके ने मेरे माझी के सभी वरके उलट कर रख दिए …
घडी की चाल थम सी गयी थी …
आँखें ज़र्द थी … सांस भारी थी ..
आज मैं अपने आप से मिला …
डरा हुआ … सहमा हुआ … खुद से ही बचता हुआ !!!
मेरे साथ तुम khadi थी …
मुझे बाजु से पकडे हुए …. जैसे मेरी शिकायत कर रही हो मुझसे ...
मेरे सामने भी मैं था और उसके सामने भी मैं …
हम दोनों जुड़वाँ थे … एक जीता हुआ … एक मरता हुआ …॥
अगले ही पल मैं ज़मीन पर था …
टुटा हुआ … बिखरा हुआ ….आखिरी साँसे लेता हुआ …
आज मेरे बिस्तर पर एक और लाश मिली …
आज मैंने खुद को ज़माने से jheen लिया ... !!!
Dedicated to someone special who made me realize what I am & who I am & helped me to meet myself & encouraged me to say hello to myself.
Thanks & Loads of Best Wishes ….
Vijay K. Vigamal
(January 17, 2010 to January 18, 2010)
(00:00 PM to 12:17 AM)
Wednesday, January 13, 2010
Mere Humdum, Mere Dost!!!
Main tumhara kuch nahi…
Ek dard hai jo khalish banker seene ko jalati hai,
Ek khwaab hain jo mujhe noch noch kar meri jaan khaa rahi hai,
Sirf silvatte reh jati hain meri raat ki chadar par,
Mera khoon in dunyavi rishton mein sulag kar siyah padh gaya hai,
Ek din yun hi waqt ke matiyale raastey pe chalte huye tumse mulakaat huyi,
Maine tumhe ek naam diya, tumne kabool kiya,
Tumne mujhe ek pehchaan di, main doshala samajh kar odh li,
Ek din waqt guzar raha tha mere aanga se ,
Hum dono ne usse kheech ke aangan ke neem se baandh diya,
Tum khush thi us munni ki tarah ..
Jo aandhi mein daurti aaye aur cheekh ke bole …..
Chal chuhe … Mote mote jamun girenge ... Chal lutane chale…
Wo bachpan wakayi bahut meetha tha …
Us jamun ki tarha jo tumhare sir pe tapak kar mere haatho mein aa gira tha ..
Aaj meri hatheliyo ko sikko ki aadat padh gayi hai…
lekin … Ab bhi wo jamun meri zubaan par sulag raha hai ….
Main tumhara kuch nahi….
Sirf ek ehsaas hai humare beech, jo hume baandhe huye hai ..
Issse khoobsurat rishta bhi aur kya hoga ??
Vijay K. Vigamal "Chuha Alvi"
Monday, January 4, 2010
ऐ चाँद !!!
Ya Main Hi Tumhare Kareeb Aa Pata…
Kitni Hi Baatein Hain ; Tumse Karni Hain Mujhko,
Apni Bewkoofi Bhare Kisson Se Tumhe Hasata…
Phir Dheere Dheere Tum Bhi Apne Dil Ki Kehne Lagte,
Apne Seene Mein Sulgi Baaton Ko Kholne Lagte,
Mujhe Achha Lagta; Tumse Ik Aur Rishta Jud Jata,
Tum Keh Kar Sambhalte Aur Has Kar Kehte ………….
Meri Bahut Huyi; Kuch Apni Sunaao ??
Kyun Yun Dooor Se Mujhe Ghoor Rahe The ??
Main Haskar Taalne Ki Koshish Karta Aur ॥
Tum Meri Hasi Ko Pakadkar , Mujhe Apne Kandthe Se Takkar Maar Kar Kehte :-
Amaan Bolo Naa !! Hum Tumhare Dost Hain Yaar !!
Tumhe Humari Kasam !!
Main Kuch Dair Khamosh Ho Jata , Phir Tum Dheere Se Kehte ...
Kya Baat hai ???
Bolo Yaar... Ab Bolo Bhi !!!
Main Tumhe Apna Haal-E-Dil Sunaata,
Har Jagha Khud Ko Sahi Aur Kisi Na Kisi Ko Galat Thehrata.
Tum Mujhe Saq Ki Khoofiya Nazar Se Dekhte,
Phir Main Nazre Jhuka Kar Apni Galtiyon Ki Lambi Fahrist Ginwata !!
Hum Has Padte , Ek Dusre Ko Dekhte, Main Thoda Behak Jata.
Ek Boond Meri Aankhon Mein Aa Theharta.
Main Koshish Karta Ki Wo Naa Gire Par Wo Ashq Meri Aankhon Se Beh Jata,
Main Phoot Padta, Tumhare Seene Se Lipat Jata, Chahta Ki Tumher Poora Ka Poora Samet Lun,
Tum Mujhe Rone Dete, Mere Sir Ko Sehlaate,
Dair Tak Main Rota Rehta, Tumhara kandha Bheeg Jata.
Tum Pyar Se Kehte :- Mera Bahadur Bachha ... Rote Thode Hi Hain !!!
Par Main Tumhari Aankho Main Ek Aanshun Dekh Tumse Phir Lipat Jata Aur Kehta :-
Main Akela Hun !! Haar Gaya Hun !! ... Aur Shayad Tum Bhi !!!
Mujhe Chhod Ke Mat Jana.....
Tum Udhte, Mere Chehre Ko Apne Haathon Main Lekar Kehte :- Nahi Jaunga ....
Chalo Udho ... Kahin Ghoomane Chalte Hain ... !!!
Phir Hum Dono Ek Doosre Ke Kandhe Par Haath Rakh Kar Kahin Door Ghoomane Chalte,
Dair Tak Chalte Rehte,
Main Tumse Kuch Swaal Karta...
Tum Mujhse Kuch Sawaal Karte...
Jawaab ... !!!
Arey Bhai Jawaab Ki Kisko Padi Hai ???
Dhoondhte Rahenge .... Zindagi Khasa Badi Hai ...............................................
17 January' 2008
04:04 AM