Monday, February 1, 2010

शायर का मकान …रोशनदान का रिश्ता …

सड़क की आखिरी गली में मेरा बुदा सा कमरा था ॥

Mujhse bahut pyar karta tha..

Jab bhi duniya ki daur bhaag bhari zindagi se thak kar main wapis aata..

Halke se mere maathe ka paseena poach deta

Uski deewaron pe seelan is kadar ubhar aaye thi jaise Umr ke saath jhurriyan aur gehri ho gayi ho..

Rang yun peela pad gaya the chehre ka ke jaise kisi ne Sereenj se sara khoon nichod liya ho..

Deewar ke saath maiz par padi kitaabe saathi thi meri struggling waqt ki ..

Theek meri maiz ke samne balcony hua karti thi..

Samne balcony se sara bazaar dikhta tha ..

Aur bazaar ke akhiri sire par mehfuz Khurseed Gupta ki asli chai ki dukaan..

Wahin meri balcony ke bilkul samne ek makaan hua karta tha..

buda udaas gali main ek roshandaan liye jo band he kab se..

Suna tha wahan pehle koi shyar raha karte the. Lekin ab wahan koi nahi rehta . .

Ek din daftar se lautte huye, us makaan ke Roshandaan ki taraf nazar padi… makaan khaali nahi tha makdi ne roshandaan ko apna aashiyana bana liya tha..

Makaan par na koi sankal thi aur na hi kisi tarha ka tala..

Kisi cheez ke chori hone ka darr nahi tha jaise..

Mann hua ki ander jaa kar dekhun … us shayar ka ghar …

Jo suna he bambai main settle ho gaye hain..

Main makaan main daakhil hua …

Dakhil hote hi seethe haath se cahubees seediyan makaan ki pehli manzil tak pahucti thi...

Wahan kamare mein khilone ek puraani tokari mein bhar ke rakhe the..

Bahut se to uthane bhekne rakhne mein choor ho gaye honge shayad…

Wahan ek balcony bhi thi jahan ek bait ka jhoola latka tha…

Usi ke saamne ek chat thi ..

Main unhi chubees seediyo se neeche ki manzil par aa gaya jo ab upar nahi jati thi..

Wahan ek piano rakha tha purane paarsi style ka … shayad…Frasier se khareed hoga…

Magar kuch besuri aawaaze karta tha ke uski reeds sari hil gayi thi…

Suron ke upar dusre sur chad gaye the…

Ussi manzil pe ek pushtaini baithak thi…

Baithak ki deewaron par keelein thi … par koi tasveer nahi thi …

Baithak ke kone ki self main purane newspaper main lappet kar kuch tasveere mehfuz aur bade hi saleeke se rakhi huyi thi ..

Shayad shayar ke purkho ki tasveerein thi par dekhne main cliché se lagte the…

ussi manzil pe saamne mehmaana khaana hain… the guest room , aaj ke setup main !!!

Wo ek kamra jo peeche ki taraf band tha..

Jahan batti nahi jalti ...

Wahan ek rozri rakhi thi…

Wo us se mehakta tha... wahan wo dayi rehti hogi shayad ..

ki jisne shayar ke teeno bachho ko bada karne main apni umr de di thi…

Mari to shayar ne tafnaya nahi mehfooz karke rakh diya usko...

Aur uske baad ek do seediya thi jo tehkhaane main jaati…

Jahan khamoshi roshan thi…

Sukoon soya huya tha bas itni si pehlu main jagah rakh kar...

Ke jab shayar seediyon se neeche aaye to ussi ke pehlun main baju pe sar rakh kar so jaye...

Kuch dino pehle bombay ke ek award function mein wahi shayar mile,

Jo us khaali makaan main raha karte the…

Ab wo juhu ke 5 BHK ke apartment main rehte hai …

Sirf shayar hi nahi rahe writer & director bhi ban gaye hain par

Ab bhi wo makaan unme saans leta hain …

Wo ab bhi us makaan main hi rehte hain …

Vijay K. Vigamal

February, 01, 2010