Thursday, November 19, 2009

Apane haathon ki lakiron mein basaale mujhako main hun teraa; naseeb apanaa banaa le mujhako!!

Mujhse tu puchane ayaa hai vafaa ke maani ye teri sadaadili maar na Daale mujhako !!

Kal ki baat aur hai main ab saa rahun yaa na rahuun, jitna jee chaahe tera aaj sataale mujhako !!

Khud ko main baatt na Daaluun kahin daaman-daaman, kar diyaa tune agar mere havaale mujhako !!

Tark-e-ulfat ki Kasam bhi koi hotii hai Kasam, tu kabhi yaad to kar bhulane waale mujhko !!

Vaadaa phir Vaadaa hai main zehar bhi pee jaauun "Qateel" , shart ye hai koi baahon mein sambhale mujhko !!!

No comments:

Post a Comment