Meri Kuch Triveniya …
Teri Aawaaz Ki Roshni Se Mere Ghar Ka Diya Roshan Hota Hai,
Mujhse Kabhi Naraz Na Hona “Insha”.
Mujhe Andhere Se Darr Lagta Hai !!!
Mere Makaan Ki Deewaaron Par Darraron Se Teri Tarveer Si Ban Gayi Hai,
Par Suna Hai Abki Barsaat Mein Kachhe Makaan Nahi Bachhenge !!
Ek Mudhi Mein Teri Khooshboo Samait Kar Tujhe Kareeb Rakha Hai,
Roz Ik Ik Katra Teri Yaad Se Mehak Kar Chalta Hoon.
Ik Baar Aao Naa Tum, Tumhe Jee Bhar Ke Dekh Loon,
In Aankho Mein Tumhe Band Kar Loon Hamesha Ke Liye,
Naa Jaane Ab Kab Mulaakaat Ho !!!
Kal Shaam Tumhara Ik Puraana Khat Mila,
Kholte Hi Ghar Mein Andhera Ho Gaya,
Jaise Bijli Giri Ho Kahin ….
Aakar Dekho, Ab Tak Jal Raha Hoon Main. !!
Aaj Ik Pehchaan Wale Ne Mujhse Tumhare Baare Mein Poocha Tha Baazaar Mein,
Muskura Ke Sab Bataya, Par Ghar Aakar Bahut Roya Hoon Main,
Aankhein Sooj Gayi Hain…
Gaye Saal Mera Har Din Eid Tha,
Aur Teri Surat Mera Chand,
Is Baar Mera Chaand Rootha Hain Mujhse !!
Jaane Kiase Eid Kategi ??
oh my god....chuhe u hav written quite well...u have alwayz made me proud and i know u'll do that in future as well...aur haan tere paas tym kaafi hai...isliye dimaag ke ghode daudata reh...u have to reach heights dude...keep it up...:)
ReplyDelete