Moon Merchant!!!
Asslaam vaalekum Qazi Sahab....
Aaj is taraf ka raasta kaise bhool gaye mian??
Achha aaye ho toh Chai to pioge hi …
Arrey Khursheed Mian do chai bhejna … special!!
Haan ji Qazi sahib baat ye thi ki…. ek farm house bik raha hain chaand par. . . .
Daam bhi theek thaak hain
Meri rai to ye hain ki Khareed kar rakh lo, kal ko dugne Damo main baich dena.
Suna hai pados wale Khanduri Sahab ki koi jaan pehchaan ki party hai..
Tum kaho to baat Karun??
Apna kya wahi Hazaar par das… aap to jante hi hain!!
Mehngayi Badi Sahab … lekin apna to wahi fixed hisaab kitaab hai…
Hum recession ko nahi samjhege to kaun Samjhega ?? Behanooooooooon !!! ha ha
Haan Ji Batayiye Baat karoon kya??
Ab bhai sahab is duniya ka kya bharosa kab kya ho jaye kuch to back up lekar chalna chahiye …
Meri maniye to le leejiye... kaam hi aayega …
Aur jald hi Metro bhi pahuch jayegi waha tak toh keemat to waise hi badh jayegi...
Likhwa lijiye humse….
Ajji Qazi sahib aap to apne hain, aapko galat rai nahi dunga.
To Agle Sunday chaltey hai, side dekh bhi lenge aur lene dene ki baat bhi pakki kar lenge …
Kyu kya kehte hain…. Aapka Chota bhai hoon galat baat kahun to bolna…!!!
Aur Ghar ke Kya Haal hain?? Bhabhi kaisi hain?? aur Bade Qazi Sahab ??
Arrey Chotu Qazi ke kya haal hain??? itne saal ka ho gaya apna chotu ??
Ajji chodiye aap to humein bulaane se rahe ye farm house le le toh bhabhi ke haath ki biryani to aapke dastarkhaan par baithe kar hi naush farmayenge….
Chaliye chalta hoon ek zaroori kaam aan pada hai, Kuch khaash nahi pichle haftey ek party ko ek flat bechaa tha chaand par , ab kehta hai ki Deewaron main seelan hai ji, wahi dekhne ja raha hun .. aakhir chaand ki deewaron par seelan kaisi lagti hai zara hum bhi to dekhe ??
To phir Sunday ko main aapko aapke ghar se hi pick kar lunga, ready rahiyega…
Achha Chai aa rahi hai aap pee kar hi jayiga …
Khuda Haffiz …
Chauhan Builders
Deals in selling, purchasing & renting Plots, Flat & Farm House on Moon.
Kindly Note: - Plots & Flats on moon are available on easy installment also.
""Zami ab to rehne ke kabil nahi hai,,
ReplyDeleteChalo chand par aashiyaana banaye""
Abbu ka bahut mashhoor sher hai,,, ab to aap bhi iss business me a hi gaye,,,, baki sab to theek hai janab but ye bhabhi wala kissa sahi nahi hai n biryani to shayad hamare hath ki hi khani padegi kyunki bhabhi to aapki aane se rahi,,,
Waise nice peace of literature,,, carry on